Jo dard dil se nikle, woh fatwa nahi hota,
Balki ek khamosh cheekh hoti hai ummat ki bay-hissi par.
Jis bhai ne yeh baat kahi, usne kisi par tuhmat nahi lagayi,
Balki aaj ke karwe sach ko alfaaz diye hain.
Bari bari masjiden, roshniyon se jagmagati hui,
Lekin Imaam sahab ka chulha bujha hua.
Azeem-ul-shaan madaris, imaaratein shandar,
Lekin ustad-e-mohtaram ki jaib khaali.
Yeh sirf alfaaz nahi, ek talakh haqeeqat hai jise aksar log dekh kar bhi nazar andaz kar dete hain.
Jo log aisi awaazon ko dabaana chahte hain, darasal woh khud is nizaam ke zaalim pehlu ke himayati hain.
Humein un sache aur dardmand logon ka saath dena chahiye,
Jo haq baat kehne ki jurrat rakhte hain.
Allah humein shuoor de ke hum sach ko sach samajh sakein,
Aur zulm ko zulm kehne ki himmat rakh sakein…!